Door pahari ke uss par,
chupa ek naya soorj,
leke ujaala saath hai,
uski sunehri tashtaree se,
utre kirnon ki boondon ko,
kalahee par rakhkar,
chaat liya tha meiney.
Mehektey pedon ke beech,
tairtey badalon ka jhund,
sehlata sa bas,
kaheen vadee ko dooji,
sarak jata hai jisey ,
ek ehsaas anmol,
narm aur safed.
Ghanee wadiyon mein bikhrey,
woh rang,
saja kar aaram se rakh diye hon,
hare rang, bahut sarey,
unmey ghultey mitee ke,
bhoorey aur santaree rang,
samet liye who nazarey ankon ne.
agla padaav samudra,
khaara, geela aur chanachal,
uski god mein samaa janey ko,
bacchey sa khilkhilata,
galey lag gaya uskey,
har leher par uska mujhko,
dant-tey sa sehlana. Marhaba!
Rastey ko chaltey,
kuch ghar rakhey se,
raat ke andherey mein,
ghultey chaley gaye,
usee mein miltey chaley gaye,
aur hum saanson ko sambhaley,
un lamho mein simtey reh gaye.
Kuch rastey,
bahut khoobsurat hotey hain!
aur kuch log,
Musaafir!
p.s- This piece is a special dedication to the ever so beautifull 'Munnar' and to 'cherai beach' for my weekend trip. It was surreal and honest, hence whatever i have written is very honest. i don't know you would like it or not but i just wanted to write this.