Sunday, May 10, 2009

Akelapan

Ek aadhi adhori raat mein jab akelapan apni purani dosti ki yaad dilata hai,aur milney aata hai. toh need bhi aankhon se rooth kar karwat badal leti hai. Bahut ajeeb ehsaas hai yeah. Hairat hoti hai kudpar jab sochta hoon kabhi iisi akelepan ke saath ghanton batein kiya karta tha. Aaj jab phir yeah mujhse milney aaya hai toh khamoosh sa bas tukur tukur dekh raha hoon isko.

‘Kaisey ho?’

Ek ek karkey mere halaton ka jayeza hoga aab. ek ajeeb si muskaan hai chehrey par.

Bhut dino takk bhagey ho mujhsey. Yaad hai kabhi duniya key shor se dar kar bhagey bhagey mere daaman mein chupney chaley atey they? Phir ghanton baithey meri god mein chup chaap aansoo bahatey they!

Haan.. yaad hai!


Ankhon ke koney sey usney jhaankar mere adhey phatey bastey ko dekha. Ek kalam aur dasta usmey se latak raha tha. Kehney laga, “syahi se roothey baithey ho kya?” Kya jawaab deta usko? Din tootney wala hai aur aab bhi diya jalaye usmey sooraj dhoondh raha hoon. Bas fark sirf iitna hai thoda sa aur ziddi ho gaya hoon. Kya kahoon usko? Mere takiye ke bagal mein rakhey har raat sulaya karta tha mujhko. Shayad mujhko mujhsey acchi tarah janta hai.

Apney haath ko mere kandey par lappet kar bola mujhsey. ‘aao aaj phir baith kar batein kartey hain. Bahut din ho gaye hain tumsey miley huye!’