Wednesday, January 30, 2008

Ek savera

Subah ki pehli kiran ka meri aankon ke darwazey par dastak.
Aaj ka ujaala bhi kuch accha hoga, accha hi hoga na?
Phir daudtey se log dikney lageingey, phir koi naya silsila hoga.
Bichaa doonga taat sa khud ko phir sabkey saamney,
Phir shaayad kisi mathey ka ghar mera kaandha hoga.

Pichlee raat phir kinhi jabzbaaton ko udhela kisi ne mujhpar,
Sochta hoon uska ujaala aaj kaisa hoga? Dua hai meri ki accha hoga.
Mere kurtey ka kona atka kisi ki soch ki kundi par, chudaaoon usko?
Ki kaheen na kaheen mera daaman bhi phata hoga.
Udhadtey se mere kapdon mein se koi zakham dikh gaya hoga.

Pallu odey ek suhagan ka sringaar karta sa ujala,
Kisi beva ki bhi maang bharta hoga, rang sunehri uspar rangta hoga.
Choom loonga har dard, har gam ke honton ko jabran joothi moothi.
Dar unko bhi mujhsey thoda toh lagta hoga.
Honsley mein mere issee ujaala bhi ram gaya hoga, mujhmey hi gum gaya hoga.

2 comments:

aria said...

It reminded me of a poem by one of favorite poet .. Dushyant Kumar ..

raat ke ghane kaale samay mein
meri hatheli par
tumne banaya hai jo suraj
mehndi se
kahin subah tak rachega
laal hoga!

yon utaawale mat ho
rachega zaroor
suraj hai
tumne banaaya hai!

lekin priye
abhi toh andhera hai
nami hai hatheli mein
subah ki prateeksha hai!

Hope you liked it too!
Keep writing ..

Casperbaba said...

simply loved it!!!!!!!!

thaks alot!