Friday, January 23, 2009

Raat ki kali siyahi se tera chehra banana hai,
Taron ke timtim-ahaat se usko sajana hai,
Karna hai deedar tera jee bharkar,
Bebas sa hokar apna maata tere kandhey par tikana hai,
Jeena hai ek raat tere narm, garm say eke taley,
Teri saanson mein chupchaap sama jana hai,
Nichod doonga sabee jazbaat tere aanchal mein apney,
Bhigo doonga tere rang mein daman ko apney,
Bin bataye hi sahi babul ko apney,
Aajana chupchaap khat-khataney darwaza mera.
Bas,
Aisi hi Us khamosh raat dabey paaon chali aana.
Chaho toh din tootey hi waapas chali jana!

3 comments:

Unknown said...

wao!!!!!
Loved it man!!
so simple yet so charismatic that every line becomes a fresh rain drop...!!..a very honest approach :)

Hiral said...

bhai kya likhta hai... matlab.. har baar padhne ka dil karta hai:) Bless you...

aria said...

very romantic .. innocuous..