Friday, January 23, 2009

Raat ki kali siyahi se tera chehra banana hai,
Taron ke timtim-ahaat se usko sajana hai,
Karna hai deedar tera jee bharkar,
Bebas sa hokar apna maata tere kandhey par tikana hai,
Jeena hai ek raat tere narm, garm say eke taley,
Teri saanson mein chupchaap sama jana hai,
Nichod doonga sabee jazbaat tere aanchal mein apney,
Bhigo doonga tere rang mein daman ko apney,
Bin bataye hi sahi babul ko apney,
Aajana chupchaap khat-khataney darwaza mera.
Bas,
Aisi hi Us khamosh raat dabey paaon chali aana.
Chaho toh din tootey hi waapas chali jana!

Monday, January 5, 2009

Guldastey sa sajaye,
Kisi kyaree se churye,
Tere sajdey ka phool,
Hoon tere pairoon ki dhool.

Thujhee mein mey,
Muhjee mein tu,
Khudee ka rutbaa,
Har rutbey mein tu.

Teri tareefon mein mera sadka,
Tere ishq mein ramta,
Tujhey paney ki justajoo,
Tujh pe bandhee meri arzoo.

Allah mere tu mujhey khud se mila,
Hai kaun tu? Apni pehchaan kara,
Dhoondoonga kab tak? Jab tak.
Tu mujhko na mila….!