Thursday, March 20, 2008

Ek Banjaaran

Naram saundee se kuch hawaoo mein,
Barish ki boondon ko amber se utartey dekha,
Usi barish mein sadak kinarey bastee,
Ek banjaran ko ujadtey, kuch ukhadtey dekha.

Uskey haathon se janmee murat ke rangon ko,
Baarsih ke pheekey panee ko rangeen sa kartey dekha,
Aanchal ki silvaton mein liptey uskey bacchey ka chehra,
Kuch aansuon se kuch paani ki boondon se bheegtey dekha,

Dekha usko aapna pallu hatatey,
Baarish se bhidtee us akeli rani jaansee ko dekha,
Dekha meiney uska ghar bikhartey aur phir simattey,
Uskey cherey ko hotey patthar sa meinn dekha,

Plastic ke lifaphey mein usko kuch lapettey dekha,
Uski mamta ko har chin meiney badtey sa dekha,
Baarish se hotee uskee ladaii ko meiny dekha,
Khud ko hotey bebas laachaar sa meiney dekha,

Aansoo nahee they uske aankhon mein kaheen bhi,
Uski khudaaree ko meiny chattan sa sakth dekha,
Sar jhukaa uss maa, uss jananee ke aagey,
Uski parchaaee mein kaheen bastey sacchey khuda ko dekha.

4 comments:

Anonymous said...

!! mere dost ko kuch shabd likhate hue maine dekha,
padhate hue un shabdon ko ek chitra ubharte maine dekha,
unki rachna ki tareef tak karna bhool gaya,
unki likhayee mein khud ko nishabd hote fir maine dekha !!

!! awesome !! mind blowing !! fantastic !!

aria said...

deeply moving.. I'm speechless too .. the last few lines have such a lingering effect ..

PS -I really liked the above comment :)

Nidhi said...

Thank you Casper for your such beautifully moving words on my blog..It is not every day one encounters such spontaneous and charming appreciation.. me likes your writings too.. you will see me here regularly :)

cheers
Nidhi

Casperbaba said...

@deepesh
dude... i seriously think u shud give poetry a try.. u have it in u... impressive!!! nd a nice comment...:)

@aria
i also loved the comment... :)
well that image of the woman was deeply moving too...

@nidhi
it would be an honor to have you here... :)
hope to see you soon.