Ek machis ki dibiya mein mai.
Meelon bichey saapon par,
Sarakta sa, behta sa, chala jata tha,
Kuch masti mein, haathon se modi sadkein,
Parbat ke chehrey par muskurahat si rakhee thee,
Ek ek karkey oos ke panno ko hataya meiney,
Aur apney hi hathon se apna haath chudaya meiney,
Har koney har modh par bikhra sa who yauvan,
jaisey ghoonghat mein saji koi naye naveli shringaree dulhan,
Sharma rahe ho apney preetam ke intezar mein,
Un sunehri belon pe bandhee who teetar ki awaaz,
subah mere kano par dastak dekar jagaya usney mujhko,
Kehney laga, jao kho jao mere priyatam ke aalingan mein.
Phir se Kuch door tak chala tha mein unhee sadkon par,
Kuch harey se dooyein aur ek plastic ki botal ke saath.