Aaj phir se meiney kalam uthaaya hai,
Zang lagi meri inn ungliyon ne,
Phir ek nagmaa sunaaya hai,
Dil ke aahatey par kyon hui phir koi dastak?
Tere dard ne bey-parvaah hokar kyon,
Aaj phir mujhey neend se jagaaya hai.
Ek chota sa kushiyon ka sheher,
Jahaan mein kabhi rehta tha.
Hansti muskurati wadiyon par ,
Befikr sa who chupchaap behta tha.
Beh gaya hai kyon,
Who lamha bhi saath uskey.
Who lamha!
Jab mein tere aagosh ke saaye mein rehta tha.