guroor mein na janey hum kya kiya kartey hain,
ghar ki deewaron ke paar rishtey tatola kartey hain,
ghatey se, phatey se, ghistey se jiya kartey hain,
girtey giratey, phir bhi har baar uthtey woh haath raha waheen kartey hain.
kattha hai ghar har jakhm par, deewarein choya kartey hain,
libaas odhey har gumaan ka khudhee ko thapeda kartey hain,
uudh jayeingey har baadal ke paar, yehi umeed udaya kartey hain,
dekho, pakdo, sambhalo usko, hum ko, hum sabko,
ghar ki deewaron ke paar rishtey tatola kartey hain.
hato hataoo, uthaoo usko, hum sab ko,
tamachey kuch toh lagaoo hum sab ko,
utho uthaao, thoda sa jag jaoo,
karwatein kuch toh odahoo mujhko,
soo loon thoda thakney wala hoon shayad,
jag jaoonga kuch lamjhon mein thahro,
uthoonga apney hi bistar apney hi ghar mein,
Kyonki neend bhi waheen aati hai.
No comments:
Post a Comment