Who dard ka noor,
jo chaand ki thali mein prosa tha tumney.
Who hijra ki bandish,
Jo ishq ki kalahi par taang di thi tumney.
Who akeli si kaayenaat,
Jo chupchaap, mere khwaabon mein aakar todh di thi tumney.
Usi kaayenaat ke tukdey bikhrey se,
Jo tanhaee mein baitha bunta hoon,
Usi hijra ki daali par jhoolta hoon,
Usi chand ke noor ho ambar ki gehrayi mein dhoondta hoon,
Saudaee hoon mein,
Beemar hoon,
Besharam aur beyzaar hoon,
Phir bhi jiye jaata hoon.
Haan phir bhi mein jiye jaata hoon.
1 comment:
dost.....can just say...KYA LIKHA HAI....WAH..KYA LIKHA HAI!
Post a Comment