Monday, June 9, 2014

Khud se, Khud hi ki,
Ladai.
Gar hara, toh jeeta.
Jo Jeeta, Sab haar gaya main.

mujh mein main. 'Main' khud mujh mein.
'main' phir baki rahey na kyon?
Gar khojoon,
mein matlab main ka.
Main bhi main na hoon.

Monday, June 2, 2014

Guzishta Yadein...

Dil ke kisi koney mein,
tumhari yaadon ko gaanth laganey baitha hoon.
kabhi waqt miley toh akar le jana unko.
yaheen raheen, toh ruswa hongi.
Ab yahaan dard or tanhai aashina rehti hain.